Poetry SMS Messages

Na jaane tum pe itna yakin

Na jaane tum pe itna yakin kyon hai? Tera khayal bhi itna haseen kyon hai? Suna hai Pyar ka dard meetha hota hai; to aankh se nikla ye aansu namkeen kyon hai?


Mohobbat ka imtihan aasan

Mohobbat ka imtihan aasan nahi; pyar sirf pane ka naam nahi. Muddatein beet jati hain kisi ke intezaar mein, ye sirf pal-do-pal ka kaam nahi.


Mohabbat mein laakhon

Mohabbat mein laakhon zakham khaye humne, afsos unhe hum par aitbar nahi, mat pucho kya gujarti hai dil par, jab vo kehte hai hame tumse pyar nahi..


meri bay lous muhabbat nay

meri bay lous muhabbat nay dubo dia hay mujhay
itna mukhlis hoon k her dil main uter jata hoon


Mere haathon se gir gayi

Mere haathon se gir gayi lakeeren kahin, bhool aaye hum apni takdeeren kahin. Agar mile tumko kahin to utha lena, mere hisse ki har khushi apne haathon pe saja lena.


Manzil unhi ko milti hai,

Manzil unhi ko milti hai, Jinke sapno me jaan hoti hai,
Pankh se kuchh nahi hota, Hauslon se udaan hoti hai.


Kuch nasha to aapki baat ka

Kuch nasha to aapki baat ka hai,
kuch nasha to dheemi barsaat ka hai,
humein aap yun hi sharabi na kahiye,
is dil par asar to aap se mulakat ka hai!


Koi ankhon se baat kar leta

Koi ankhon se baat kar leta hai,
Koi ankhon mein mulakat kar leta hai,
Bada mushkil hota hai jawab dena,
Jab koi khamosh rehkar sawaal kar leta hai.


Kitni Azziyat Say Uss Ne

Kitni Azziyat Say Uss Ne Mujh Ko Bhulaaya Hoga...
Meri Yadoon Ne Ussay Khoob Rulaaya Hoga..
Baat Be-Baat Aankh Uss Ki Jo Chhalkee Hogi.......
Uss Ne Chehre Ko Baazuon Main Chupaaya Hoga...
Socha Ho Ga Uss Ne Din Main Kaee Baar Mujhay.......
Naam Hath


Khamoshiyan teri mujhse

Khamoshiyan teri mujhse baatein karti hain, meri har aah har dard samajhti hain. Pata hai majbuur hai tu bhi aur main bhi, phir bhi aankhein tere deedar ko tarasti hain.


Kaun jane kab maut ka

Kaun jane kab maut ka paigam aa jaye,
Zindagi ki akhari sham aa jaye,
Hum toh dhundhte hain waqt aisa jab,
Hamari zindagi apke kam aa jaye.


Karoge yaad ek din is pyar

Karoge yaad ek din is pyar ke zamane ko, chale jayenge jab hum kabhi na vapas aane ko. Chalega mehfil me jab zikr hamara koi, to tum bhi tanhayi dhundoge aansu bahane ko.


Kadam kadam pe baharon ne

Kadam kadam pe baharon ne saath chhoda, zaroorat padne par yaaron ne saath chhoda, vaada kiya sitaron ne saath dene ka, subah hone par sitaron ne bhi saath chhoda.


Kabar ki mitti utha ke le

Kabar ki mitti utha ke le gaya koi, isi bahane humein choo kar chala gaya koi, tanhayi aur andhere mein khush they hum, lekin phir se intezaar karne ki wajah de gaya koi..


« Prev   Page:| 1 | 2 | 3 | 4 | 5 | 6 | 7 | 8 | 9 | 10 | Next»