Bewafa, Dard and Tragedy SMS Messages

Munasib nahi hai jeena

Zindagi kuchh adhuri si lage tere pyaar ke bina,
Munasib nahi hai jeena mere liye tere saath ke bina,
Chhodkar teri chahat..Parai lage dunia saari,
Is dil ne seekha nahi dhadakna teri yaad ke bina.


Bhula nahi sakte

Hum chahain bhi to bhula nahi sakte,
Teri yaadon say daaman chura nahi sakte,
Tere bin jeena aik pal bhi namumkin hay,
Tumhain chahte hain itna keh bata nahi sakte.


Saath na aaya

Mere pyaar ko duniya mein koi samajh na paya,
Rote thay jab tanha koi mere saath na aaya,
Mita diya khud ko unke liye pyaar mein,
Aur wo kehte hai ki mujhe pyaar karna na aaya.


Ye aansu na hote

Jo na hoti mohabbat ye aansu na hote,
Dil bhi na khota aaj tanha na rota,
Diwano si apni ye halat na hoti,
Agar jahan mein kambakhat,
Kaash ye mohabbat na hoti.


Usko ye bataya nahi

Maine jo socha wo kabhi paya nahi,
Chahakar bhi main usko bhul paya nahi,
Chahata to tha main usko apnana,
Par maine usko kabhi ye bataya nahi.


Maine usko bataya nahi

Maine jo socha wo kabhi paya nahi,
Chahakar bhi main usko bhul paya nahi,
Chahata to tha main usko apnana,
Par maine usko kabhi ye bataya nahi.


Main khush kyo nahi

Hakikat nai puch mere fasane ki,
Tere jate he badal gahi nazar zamane ki,
Log puchte hai main khush kyo nahi,
Kaya kahu meri to aadat thi tere sang muskurane ki.


Uska pyaar pana

Mushkil nahi hai ishq lagana,
Usse bhi aasan hai uska pyaar pana,
Phir bhi darte hai hum pyaar se,
Kyonki sab se mushkil hai usko bhual pana.


Hame tanaha kar gaye

Pyaar woh hame bepanah kar gaye,
Phir zindagi main hame tanaha kar gaye,
Chahat thi sath hone ki,
Par woh lout kar aane ko bhi mana kar gaye.


Bolta hai dosti

Bolta hai dosti,
Chup rehta hai pyaar,
Hasati hai dosti,
Rulata hai pyaar,
Milati hai dosti,
Judaa karta hai pyaar,
Phir bhi kyun dosti chodkar,
Log karte hai pyaar.


Wafa k saath nibhayenge

Teri bewafai ko us wafa k saath nibhayenge,
K teri ankhon say bhi aansoo nikal jayenge,
Yeh wada hai k hum tujhe us mod tak layenge,
Jahan hum apna dard teri aankhon say chalka kay dekhayenge.


Koi samajh na paya

Mere pyaar ko duniya mein koi samajh na paya,
Rote thay jab tanha koi mere saath na aaya,
Mita diya khud ko unke liye pyaar mein,
Aur wo kehte hai ki mujhe pyaar karna na aaya.


Pal do pal sath guzar lo

Lamha lamha waqt guzar jayega,
Rooh ka daman bhi sath chod jayega,
Abhi waqt hai pal do pal sath guzar lo,
Kal kya pata kon kiski jindgi se chala jayega.


Hamari kamzori

Aapki muskan hamari kamzori hai,
Keh na pana humari majboori hai,
Aap kyun nahi samajhte is khamoshi ko,
Kya khamoshi ko bhi zuban dena zaroori hai.


Aansu na hote ankhon mein

Jo aansu na hote ankhon mein,
To ankhen itni khobsurat na hoti,
Jo dard na hota dil mein,
To khushi ki kimat pata na hoti,
Jo bewfayee na ki hoti waqt ne,
To judai main jine ki aadat na hoti.


« Prev   Page:| 1 | 2 | 3 | 4 | 5 | 6 | 7 | 8 | 9 | 10 | Next»